kuchh bhī kar paa.e na ham hijr kī hairānī meñ
ghar bhī vīrān kiyā dil kī pareshānī meñ
rañg hī rañg haiñ bikhre hue dāman meñ mire
rach gayā hai mirī āñkhoñ kā lahū paanī meñ
jism apnā bhī mahaktā huā gulzār lagā
phir tire ġham kī havā aa.ī hai jaulānī meñ
yuuñ nigāhoñ meñ utarne lage yādoñ ke nujūm
dard bhī mahv huā ā.ina-sāmānī meñ
apne ḳhvāboñ ke tilismāt se bāhar to nikal
jism ko chhū ke kabhī dekh tū uryānī meñ
suḳhan-e-garm ke pardoñ ko girāne vaalā
chhapne paayā na kabhī apnī pashemānī meñ
ḳhalvat-e-dil ke añdheroñ meñ vo sūraj niklā
muñd ga.ī aañkh mirī ruuh kī tābānī meñ
āfiyat DhūñDne nikle the ḳhamoshī meñ 'nadīm'
ghir ga.e apnī hī āvāz kī tuġhyānī meñ