ghar kī dīvāroñ ko ham ne aur ūñchā kar liyā
shor-e-sad-e-mahshar sunā aur ḳhud ko bahrā kar liyā
band naafe kī tarah rahte haiñ apne aap meñ
apnī ḳhushbū se mo.attar dil kā sahrā kar liyā
dard mahjūrī kā ā.īna hai apne rū-ba-rū
jab nazar aayā na to apnā tamāshā kar liyā
dar pe har ummīd ke phailā diyā dāmān-e-dil
kaj-kulāh-e-zindagī ne ḳhud ko rusvā kar liyā
ham samajhte haiñ tire malbūs kī tauqīr ko
dāġh-e-uryānī nazar aayā to pardā kar liyā
jab koī sūrat nazar aa.ī na hañsne kī 'nadīm'
ġham kī har tasvīr ko āñkhoñ meñ yakjā kar liyā