lafz nāgin kī tarah Daste haiñ goyā.ī meñ
ḳhāmushī zahr milā detī hai tanhā.ī meñ
dil kī bātoñ ko zabāñ par nahīñ aane dete
kitnī zanjīreñ nazar aatī haiñ yakjā.ī meñ
Thahre paanī meñ girā sañg ravānī koī
chāhiye taaza huā ruuh kī gahrā.ī meñ
kyā nazar aa.egā mausam ke nashe meñ tujh ko
kitne patte haiñ ki uḌ jaate haiñ purvā.ī meñ
shab se pahle hī koī chāñd nikālo varna
dil bhī niklegā añdheroñ kī pazīrā.ī meñ
khul ga.ī aañkh to ḳhauf aane lagā hai ḳhud se
ġham na ho jaa.eñ kahīñ apnī hī pahnā.ī meñ
kis ke nazāre kī ḳhvāhish meñ giraftār hue
zaḳhm āñkhoñ ke mile dil kī masīhā.ī meñ
Duub kar phir koī ubhrā na safīna ġham kā
kitne tūfāñ haiñ tire jism kī ra.anā.ī meñ
mujh se pūchho ki bayābān-e-safar kaisā hai
umr guzrī hai mirī bādiya-paimā.ī meñ
ham bhī mar jā.eñge jiine kī havas meñ āḳhir
kaam ā.eñge usī ma.arka-ārā.ī meñ
hañsne vāloñ meñ ka.ī apne bhī shāmil the 'nadīm'
shakl pahchānī ga.ī apnī bhī rusvā.ī meñ