badan ko phūñktī haiñ naġhma-ḳhvāniyāñ pyāre
surūd-e-ishq na chheḌeñ javāniyāñ pyāre
ye barg-e-zard ki bikhre paḌe haiñ rāhoñ meñ
yahī haiñ mausam-e-gul kī nishāniyāñ pyāre
qadam qadam ġham-e-hijrāñ kī be-panāhī meñ
sunā rahī hai mohabbat kahāniyāñ pyāre
koī umiid na hotī to jī bahal jaatā
rulā rahī haiñ tirī mehrbāniyāñ pyāre
charāġh-e-hijr jalātī rahī haiñ saarī raat
sharīk-e-hāl mirī ḳhūñ-fishāniyāñ pyāre
khilā rahī haiñ gul-e-zaḳhm dīda-o-dil meñ
karishma-sāz tirī dilsitāniyāñ pyāre
har ik taraf se lapaktā hai dil pe kauñdā sā
ki tere husn kī haiñ qahar-māniyāñ pyāre
dikhā rahī haiñ tujhe be-shumār ā.īne
mirī nigāh kī ye bad-gumāniyāñ pyāre
tujhe kuchh aur bhī afsurda dekhte haiñ 'nadīm'
tujhe to raas nahīñ shādmāniyāñ pyāre