Salahuddin Nadeem

jab se apne aapko pahchanta hun main

Salahuddin Nadeem

jab se apne aap ko pahchāntā huuñ maiñ
parde meñ har libās ke uryāñ huā huuñ maiñ
mujh se milo ki maiñ huuñ zamāne kī raushnī
zulmat meñ āftāb kī sūrat paḌā huuñ maiñ
āñkheñ bhī hoñ to dekhnā āsāñ nahīñ mujhe
tābāniyoñ kī kohar meñ Duubā huā huuñ maiñ
ab apnī shakl DhūñDhtā phirtā huuñ chār-sū
tūfān-e-sad-nigāh meñ gum ho gayā huuñ maiñ
gahre samundaroñ kī tarah ḳhāmushī meñ gum
apnī sadā ke sehr se lab kholtā huuñ maiñ
lamhoñ kā lams kar gayā patthar mujhe 'nadīm'
lekin lahū kī aañch se hiirā banā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com