jis ko dekho vahī āvāra-o-saudā.ī hai
zindagī hai ki kisī dasht kī pahnā.ī hai
sho.ala-e-ġham ko rag-e-jāñ meñ kiyā jazb to phir
har nazar sūrat-e-ḳhurshīd nazar aa.ī hai
Duub kar dil meñ ubhartī hai koī mauj-e-ḳhayāl
abr chhāyā hai kabhī barq sī lahrā.ī hai
giit ke ruup meñ pāband bahāroñ kī fazā
chaman-e-dil meñ mire aur nikhar aa.ī hai
lazzat-e-ishq se bharpūr ġham-e-dil kī sadā
parda-e-shab meñ ka.ī chāñd uḌā laa.ī hai
shabnamī aañkh se dekho to chaman kī jānib
sīna-e-gul meñ sharāroñ ne numū paa.ī hai
sochtā huuñ ki zamāne se nikal kar aage
phir vahī maiñ huuñ vahī gosha-e-tanhā.ī hai
apne hone kī haqīqat kā yaqīñ hai lekin
aañkh kyuuñ jalva-e-hastī kī tamannā.ī hai
ye ajab silsila-e-qaid-e-nazar hai ki 'nadīm'
har nazar apnī hī duniyā kī tamāshā.ī hai