zaḳhm siine pe lagā aañkh se aañsū nikle
ġham kī aahaT se ka.ī dard ke aahū nikle
halqa-e-reg-e-ravāñ dasht ke dariyā kā bhañvar
vahshat-e-dil ke safīne meñ agar tū nikle
bad-gumānī kī nigāhoñ se jo dekhā hai tujhe
terī har baat meñ sau tarah ke pahlū nikle
mahak uTThe ye bayābāñ bhī gulistāñ kī tarah
qaid-e-gulzār se āzād jo ḳhushbū nikle
is kaḌī dhuup meñ thā kis ko safar kā yaarā
har qadam sāya-kunāñ kākul-o-gesū nikle
sehr gul-kārī-e-ehsās kā baa.is haiñ 'nadīm'
dil meñ jo tiir ġham-e-jāñ ke tarāzū nikle