abr kā TukḌā ho jaise chāñd par Thahrā huā
yuuñ tire mukhḌe pe zulfoñ kā ghanā saaya huā
qurb kī lazzat se āñkhoñ meñ ghaTā sī chhā ga.ī
aur ye dil hai sharābī kī tarah bahkā huā
dil samajhtā hai tirī raftār ke uslūb ko
tū abhī aayā nahīñ aur hashr sā barpā huā
āshnā.ī kī havā dil ke chaman meñ kyā chalī
har gul-e-manzar nazar aayā mujhe dekhā huā
ab kisī ġham kā sitāra bhī nahīñ raushan 'nadīm'
kyā mirī āñkhoñ meñ koī chāñd hai niklā huā