Salahuddin Nadeem

gham ki be-panahi mein dil ne hausla paya

Salahuddin Nadeem

ġham kī be-panāhī meñ dil ne hausla paayā
tīrgī ke jañgal meñ chashma-e-ziyā paayā
āftāb kā paikar ban gayā badan apnā
raushnī meñ saa.e kā sehr TūTtā paayā
khul ga.ī jo aañkh apnī vaqt kī sadā sun kar
an-ginat jahānoñ kā dar khulā huā paayā
har qadam pe saath apne ḳhud ko dekhte haiñ ham
ham-safar koī apnā ab na dūsrā paayā
muddatoñ ke ba.ad un se is tarah mile haiñ ham
ajnabī koī jaise sūrat-āshnā paayā
gard meñ huā hai gum qāfila zamāne kā
āftāb ko apne saa.e meñ paḌā paayā
le uḌī 'nadīm' āḳhir zindagī kī tuġhyānī
ruuh ke samundar meñ jism Dūbtā paayā
Top Urdushayar.com