Salahuddin Nadeem

dhuan dhuan hain nigahon ki bastiyan kya kya

Salahuddin Nadeem

dhuāñ dhuāñ haiñ nigāhoñ kī bastiyāñ kyā kyā
chamak rahī haiñ ḳhayāloñ kī bijliyāñ kyā kyā
bhañvar kī aañkh se takte hī rah ga.e tūfāñ
pahuñch ga.ī haiñ kināroñ pe kashtiyāñ kyā kyā
milegī merī bhī kisht-e-nazar ko sairābī
har ek samt uchhaltī haiñ naddiyāñ kyā kyā
mirī nigāh ke dāman ko khīñch letī haiñ
tire ḳhayāl kī gul-posh vādiyāñ kyā kyā
sharāb-ḳhāne ke dīvār-o-dar damak uTThe
chhalak paḌīñ mire sāġhar se bijliyāñ kyā kyā
suḳhan ke shor meñ suntā nahīñ koī lekin
diloñ meñ guuñj rahī haiñ kahāniyāñ kyā kyā
'nadīm' sho.abada-e-zindagī se āḳhir-kār
lahak rahī haiñ nigāhoñ meñ khetiyāñ kyā kyā
Top Urdushayar.com