ik sub.h hai jo huī nahīñ hai
ik raat hai jo kaTī nahīñ hai
maqtūloñ kā qaht paḌ na jaa.e
qātil kī kahīñ kamī nahīñ hai
vīrānoñ se aa rahī hai āvāz
taḳhlīq-e-junūñ rukī nahīñ hai
hai aur hī kārobār-e-mastī
jī lenā to zindagī nahīñ hai
saaqī se jo jaam le na baḌh kar
vo tishnagī tishnagī nahīñ hai
āshiq-kushī o fareb-kārī
ye sheva-e-dilbarī nahīñ hai
bhūkoñ kī nigāh meñ hai bijlī
ye barq abhī girī nahīñ hai
dil meñ jo jalā.ī thī kisī ne
vo sham-e-tarab bujhī nahīñ hai
ik dhuup sī hai jo zer-e-mizhgāñ
vo aañkh abhī uThī nahīñ hai
haiñ kaam bahut abhī ki duniyā
shā.ista-e-ādmī nahīñ hai
har rañg ke aa chuke haiñ fir.aun
lekin ye jabīñ jhukī nahīñ hai