Ali Sardar Jafri

sitaron ke payam aae bahaaron ke salam aae

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
sitāroñ ke payām aa.e bahāroñ ke salām aa.e
hazāroñ nāma-hā-e-shauq ahl-e-dil ke kaam aa.e
na jaane kitnī nazreñ us dil-e-vahshī pe paḌtī haiñ
har ik ko fikr hai us kī ye shāhīñ zer-e-dām aa.e
isī ummīd meñ betābi-e-jāñ baḌhtī jaatī hai
sukūn-e-dil jahāñ mumkin ho shāyad vo maqām aa.e
hamārī tishnagī bujhtī nahīñ shabnam ke qatroñ se
jise sāqī-garī kī sharm ho ātish-ba-jām aa.e
koī shāyad hamāre dāġh-e-dil kī tarah raushan ho
hazāroñ āftāb is shauq meñ bālā-e-bām aa.e
inheñ rāhoñ meñ shaiḳh-o-muhtasib haa.il rahe akasr
inheñ rāhoñ meñ hūrān-e-bahishtī ke ḳhiyām aa.e
nigāheñ muntazir haiñ ek ḳhurshīd-e-tamannā kī
abhī tak jitne mehr-o-māh aa.e nā-tamām aa.e
ye aalam lazzat-e-taḳhlīq kā hai raqs-e-lāfānī
tasavvur-ḳhāna-e-hairat meñ lākhoñ sub.h-o-shām aa.e
koī 'sardār' kab thā is se pahle terī mahfil meñ
bahut ahl-e-suḳhan uTThe bahut ahl-e-kalām aa.e
Top Urdushayar.com