uljhe kāñToñ se ki khele gul-e-tar se pahle
fikr ye hai ki sabā aa.e kidhar se pahle
jām-o-paimāna-o-sāqī kā gumāñ thā lekin
dīda-e-tar hī thā yaañ dīda-e-tar se pahle
abr-e-naisāñ kī na barakat hai na faizān-e-bahār
qatre gum ho ga.e ta.amīr-e-guhar se pahle
jam gayā dil meñ lahū suukh ga.e āñkhoñ meñ ashk
tham gayā dard-e-jigar rañg-e-sahar se pahle
qāfile aa.e to the na.aroñ ke parcham le kar
sar-nigūñ ho ga.ī har aah asar se pahle
ḳhūn-e-sar bah gayā maut aa ga.ī dīvānoñ ko
bārish-e-sañg se tūfān-e-sharar se pahle
surḳhī-e-ḳhūn-e-tamannā kī mahak aatī hai
dil koī TuuTā hai shāyad gul-e-tar se pahle
maqtal-e-shauq ke ādāb nirāle haiñ bahut
dil bhī qātil ko diyā karte haiñ sar se pahle