Ali Sardar Jafri

dil ki aag jawani ke ruKHsaron ko dahkae hai

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
dil kī aag javānī ke ruḳhsāroñ ko dahkā.e hai
bahe pasīna mukhḌe par yā sūraj pighlā jaa.e hai
man ik nanhā sā bālak hai humak humak rah jaa.e hai
duur se mukh kā chāñd dikhā kar kaun use lalchā.e hai
mai hai terī āñkhoñ meñ aur mujh pe nasha sā taarī hai
niiñd hai terī palkoñ meñ aur ḳhvāb mujhe dikhlā.e hai
tere qāmat kī larzish se mauj-e-mai meñ larzish hai
terī nigah kī mastī hī paimānoñ ko chhalkā.e hai
terā dard salāmat hai to marne kī ummīd nahīñ
laakh dukhī ho ye duniyā rahne kī jagah ban jaa.e hai
Top Urdushayar.com