Ali Sardar Jafri

taKHliq pe fitrat ki guzarta hai guman aur

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
taḳhlīq pe fitrat kī guzartā hai gumāñ aur
is ādam-e-ḳhākī ne banāyā hai jahāñ aur
ye sub.h hai sūraj kī siyāhī se añdherī
aa.egī abhī ek sahar mahr-chakāñ aur
baḌhnī hai abhī aur bhī mazlūm kī tāqat
ghaTnī hai abhī zulm kī kuchh tāb-o-tavāñ aur
tar hogī zamīñ aur abhī ḳhūn-e-bashar se
ro.egā abhī dīda-e-ḳhūnāba-fiashāñ aur
baḌhne do zarā aur abhī kuchh dast-e-talab ko
baḌh jā.egī do chaar shikan-e-zulf-e-butāñ aur
karnā hai abhī ḳhūn-e-jigar sarf-e-bahārāñ
kuchh der uThānā hai abhī nāz-e-ḳhizāñ aur
ham haiñ vo balā-kash ki masā.ib se jahāñ ke
ho jaate haiñ shā.ista-e-ġham-hā-e-jahāñ aur
Top Urdushayar.com