aa.e ham 'ġhālib'-o-'iqbāl' ke naġhmāt ke ba.ad
'mus.haf'-e-ishq-o-junūñ husn kī āyāt ke ba.ad
ai vatan ḳhāk-e-vatan vo bhī tujhe de deñge
bach gayā hai jo lahū ab ke fasādāt ke ba.ad
nār-e-namrūd yahī aur yahī gulzār-e-ḳhalīl
koī ātish nahīñ ātish-kada-e-zāt ke ba.ad
rām-o-gautam kī zamīñ hurmat-e-insāñ kī amiiñ
bāñjh ho jā.egī kyā ḳhuun kī barsāt ke ba.ad
tishnagī hai ki bujhā.e nahīñ bujhtī 'sardār'
baḌh ga.ī kausar-o-tasnīm kī sauġhāt ke ba.ad