kabhī ḳhandāñ kabhī giryāñ kabhī raqsā chaliye
duur tak saath tire umr-e-gurezāñ chaliye
rasm-e-derīna-e-ālam ko badalne ke liye
rasm-e-derīna-e-ālam se gurezāñ chaliye
āsmānoñ se barastā hai añdherā kaisā
apnī palkoñ pe liye jashn-e-charāġhāñ chaliye
shola-e-jāñ ko havā detī hai ḳhud bād-e-sumūm
shola-e-jāñ kī tarah chāk-garebāñ chaliye
aql ke nuur se dil kījiye apnā raushan
dil kī rāhoñ se sū-e-manzil-e-insāñ chaliye
ġham na.ī sub.h ke taare kā bahut hai lekin
le ke ab parcham-e-ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ chaliye
sar-ba-kaf chalne kī aadat meñ na farq aa jaa.e
kūcha-e-dār meñ sar-mast-o-ġhazal-ḳhvāñ chaliye