shāḳh-e-gul hai ki ye talvār khiñchī hai yaaro
baaġh meñ kaisī havā aaj chalī hai yaaro
kaun hai ḳhauf-zada jashn-e-sahar se pūchho
raat kī nabz to ab chhūT chalī hai yaaro
taak ke dil se dil-e-shīsha-o-paimāna tak
ek ik buuñd meñ sau sham.a jalī hai yaaro
chuum lenā lab-e-lālīñ kā hai rindoñ ko ravā
rasm ye bāda-e-gul-gūñ se chalī hai yaaro
sirf ik ġhuncha se sharminda hai aalam kī bahār
dil-e-ḳhūñ-gashta ke hoñToñ pe hañsī hai yaaro
vo jo añgūr ke ḳhoshoñ meñ thī mānind-e-nu.jūm
Dhal ke ab jaam meñ ḳhurshīd banī hai yaaro
bū-e-ḳhūñ aatī hai miltā hai bahāroñ kā surāġh
jaane kis shoḳh sitamgar kī galī hai yaaro
ye zamīñ jis se hai ham ḳhāk-nashīnoñ kā uruuj
ye zamīñ chāñd sitāroñ meñ ghirī hai yaaro
jur.a-e-talḳh bhī hai jām-gavārā bhī hai
zindagī jashn-gah-e-bāda-kashī hai yaaro