ye be-kas-o-be-qarār chehre
sadiyoñ ke ye sogvār chehre
miTTī meñ paḌe damak rahe haiñ
hīroñ kī tarah hazār chehre
le jā ke inheñ kahāñ sajā.eñ
ye bhuuk ke shikār chehre
africa-o-asia kī zīnat
ye nādir-e-rozgār chehre
khoī huī azmatoñ ke vāris
kal raat ke yādgār chehre
ġhāze se safed mai se rañgīñ
is daur ke dāġhdār chehre
guzre haiñ nigāh-o-dil se ho kar
har tarah ke be-shumār chehre
maġhrūr anā ke ghoñsle meñ
baiThe hue kam-ayār chehre
qābil-e-iltifāt āñkheñ
nā-qābil-e-e'tibār chehre
in sab se hasīn-tar haiñ lekin
rindoñ ke gunāhgār chehre