Ali Sardar Jafri

farogh-e-dida-o-dil lala-e-sahar ki tarah

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
faroġh-e-dīda-o-dil lāla-e-sahar kī tarah
ujālā bin ke raho sham-e-rahguzar kī tarah
payambaroñ kī tarah se jiyo zamāne meñ
payām-e-shauq bano daulat-e-hunar kī tarah
ye zindagī bhī koī zindagī hai ham-nafaso
sitāra ban ke jale bujh ga.e sharar kī tarah
Darā sakī na mujhe tīrgī zamāne kī
añdherī raat se guzrā huuñ maiñ qamar kī tarah
samundaroñ ke talātum ne mujh ko paalā hai
chamak rahā huuñ isī vāste guhar kī tarah
tamām koh o tal o bahr o bar haiñ zer-e-nagīñ
khulā huā huuñ maiñ shāhīñ ke bāl-o-par kī tarah
tamām daulat-e-kaunain hai ḳhirāj us kā
ye dil nahīñ kisī luuTe hue nagar kī tarah
guzar ke ḳhaar se ġhunche se gul se shabnam se
maiñ shāḳh-e-vaqt meñ aayā huuñ ik samar kī tarah
maiñ dil meñ talḳhī-e-zahrāb-e-ġham bhī rakhtā huuñ
na misl-e-shahd huuñ shīrīñ na maiñ shakar kī tarah
ḳhizāñ ke dast-e-sitam ne mujhe chhuā hai magar
tamām sho.ala o shabnam huuñ kāshmar kī tarah
mirī navā meñ hai lutf-o-surūr-e-sub.h-e-nashāt
har ek sher hai rindoñ kī shām-e-tar kī tarah
ye fātehāna ġhazal asr-e-nau kā hai āhañg
buland o past ko dekhā hai dīda-var kī tarah
Top Urdushayar.com