Ali Sardar Jafri

wufur-e-shauq ki rangin hikayaten mat puchh

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
vufūr-e-shauq kī rañgīñ hikāyateñ mat pūchh
laboñ kā pyaar nigah kī shikāyateñ mat pūchh
kisī nigāh kī nas nas meñ tairte nishtar
vo ibtidā-e-mohabbat kī rāhateñ mat pūchh
vo nīm-shab vo javāñ husn vo vufūr-e-niyāz
nigāh o dil ne jo kī haiñ ibādateñ mat pūchh
hujūm-e-ġham meñ bhī jiinā sikhā diyā ham ko
ġham-e-jahāñ kī haiñ kyā kyā ināyateñ mat pūchh
ye sirf ek qayāmat hai chain kī karvaT
dabī haiñ dil meñ hazāroñ qayāmateñ mat pūchh
bas ek harf-e-baġhāvat zabāñ se niklā thā
shahīd ho ga.iiñ kitnī rivāyateñ mat pūchh
ab aaj qissa-e-dārā-o-jam kā kyā hogā
hamāre paas haiñ apnī hikāyateñ mat pūchh
nishān-e-hiTlari-o-qaisarī nahīñ miltā
jo ibratoñ ne likhī haiñ ibārateñ mat pūchh
nashāt-e-zīst faqat ahl-e-ġham kī hai mīrās
mileñgī aur abhī kitnī daulateñ mat pūchh
Top Urdushayar.com