Ali Sardar Jafri

chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-dari de

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
chashma-e-bad-mast ko phir sheva-e-dil-dārī de
dil-e-āvāra ko paiġhām-e-giraftārī de
ishq hai sāda-o-māsūm use apnī tarah
jauhar-e-teġh-e-adā ḳhanjar-e-ayyārī de
jo dukhe dil haiñ unheñ daulat-e-darmāñ ho atā
dard ke haath meñ mat kāsā-e-nādārī de
kitnī farsūda hai ye jurm-o-sazā kī duniyā
sar-kashī dil ko nayā zauq-e-gunahgārī de
shāḳh-e-gul kab se hai siine meñ chhupā.e hue gul
dekheñ kab bād-e-sabā hukm-e-chaman-kārī de
ai mire sho.ala-e-dil sho.ala-e-sher-o-dānish
raat āḳhir hai use jashn-e-sharar-bārī de
chaman afsurda hai ai jān-e-chaman rūh-e-bahār
gul ko bhī apne tabassum kī fusūñ-kārī de
Top Urdushayar.com