Ali Sardar Jafri

ishq ka naghma junun ke saz par gate hain hum

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
ishq kā naġhma junūñ ke saaz par gaate haiñ ham
apne ġham kī aañch se patthar ko pighlāte haiñ ham
jaag uThte haiñ to suulī par bhī niiñd aatī nahīñ
vaqt paḌ jaa.e to añgāroñ pe so jaate haiñ ham
zindagī ko ham se baḌh kar kaun kar saktā hai pyaar
aur agar marne pe aa jaa.eñ to mar jaate haiñ ham
dafn ho kar ḳhaak meñ bhī dafn rah sakte nahīñ
lāla-o-gul ban ke vīrānoñ pe chhā jaate haiñ ham
ham ki karte haiñ chaman meñ ehtimām-e-rañg-o-bū
rū-e-getī se naqāb-e-husn sarkāte haiñ ham
aks paḌte hī sañvar jaate haiñ chehre ke nuqūsh
shāhid-e-hastī ko yuuñ ā.īna dikhlāte haiñ ham
mai-kashoñ ko muzhda sadiyoñ ke pyāsoñ ko naved
apnī mahfil apnā saaqī le ke ab aate haiñ ham
Top Urdushayar.com