Ali Sardar Jafri

ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
ab aa gayā hai jahāñ meñ to muskurātā jā
chaman ke phuul diloñ ke kañval khilātā jā
adam hayāt se pahle adam hayāt ke ba.ad
ye ek pal hai use jāvedāñ banātā jā
bhaTak rahī hai añdhere meñ zindagī kī barāt
koī charāġh sar-e-rahguzar jalātā jā
guzar chaman se misāl-e-nasīm-e-sub.h-e-bahār
guloñ ko chheḌ ke kāñToñ ko gudgudātā jā
rah-e-darāz hai aur duur shauq kī manzil
garāñ hai marhala-e-umr giit gaatā jā
balā se bazm meñ gar zauq-e-naġhmagī kam hai
navā-e-talḳh ko kuchh talḳh-tar banātā jā
jo ho sake to badal zindagī ko ḳhud varna
nazhād-e-nau ko tarīq-e-junūñ sikhātā jā
dikhā ke jalva-e-fardā banā de dīvāna
na.e zamāne ke ruḳh se naqāb uThātā jā
bahut dinoñ se dil-o-jāñ kī mahfileñ haiñ udaas
koī tarāna koī dāstāñ sunātā jā
Top Urdushayar.com