Ali Sardar Jafri

baiThe hain jahan saqi paimana-e-zar le kar

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
baiThe haiñ jahāñ saaqī paimāna-e-zar le kar
us bazm se uTh aa.e ham dīda-e-tar le kar
yādoñ se tirī raushan mehrāb-e-shab-e-hijrāñ
DhūñDheñge tujhe kab tak qindīl-e-qamar le kar
kyā husn hai duniyā meñ kyā lutf hai jiine meñ
dekhe to koī merā andāz-e-nazar le kar
hotī hai zamāne meñ kis tarah pazīrā.ī
niklo to zarā ghar se ik zauq-e-safar le kar
rāheñ chamak uTTheñgī ḳhurshīd kī mash.al se
hamrāh sabā hogī ḳhushbū-e-sahar le kar
maḳhmal sī bichhā deñge qadmoñ ke tale sāhil
dariyā ubal ā.eñge sad-mauj-e-guhar le kar
pahnā.eñge taaj apnā peḌoñ ke ghane saa.e
nikleñge shajar apne ḳhush-rañg samar le kar
lapkeñge gale milne sarv aur sanobar sab
uTheñge gulistāñ bhī shāḳh-e-gul-e-tar le kar
hañste hue shahroñ kī āvāz bulā.egī
lab jaam ke chamkeñge sau sho.ala-e-tar le kar
aflāk bajā.eñge saaz apne sitāroñ kā
gā.eñge bahut lamhe anfās-e-sharar le kar
ye ālam-e-ḳhākī ik sayyāra-e-raushan hai
aflāk se Takrā do taqdīr-e-bashar le kar
Top Urdushayar.com