Ali Sardar Jafri

aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
aqīde bujh rahe haiñ sham-e-jāñ ġhul hotī jaatī hai
magar zauq-e-junūñ kī sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī
ḳhudā ma.alūm kis kis ke lahū kī lāla-kārī hai
zamīn-e-kū-e-jānāñ aaj pahchānī nahīñ jaatī
agar yuuñ hai to kyuuñ hai yuuñ nahīñ to kyuuñ nahīñ āḳhir
yaqīñ mohkam hai lekin zid kī hairānī nahīñ jaatī
lahū jitnā thā saarā sarf-e-maqtal ho gayā lekin
shahīdān-e-vafā ke ruḳh kī tābānī nahīñ jaatī
pareshāñ-rozgār āshufta-hālāñ kā muqaddar hai
ki us zulf-e-pareshāñ kī pareshānī nahīñ jaatī
har ik shai aur mahñgī aur mahñgī hotī jaatī hai
bas ik ḳhūn-e-bashar hai jis kī arzānī nahīñ jaatī
ye naġhma naġhma-e-bedārī-e-jamhūr-e-ālam hai
vo shamshīr-e-navā jis kī daraḳhshānī nahīñ jaatī
na.e ḳhvāboñ ke dil meñ sho.ala-e-ḳhurshīd-e-mahshar hai
zamīr-e-hazrat-e-insāñ kī sultānī nahīñ jaatī
lagāte haiñ laboñ par mohr arbāb-e-zabāñ-bandī
alī-'sardār' kī shān-e-ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com