Ali Sardar Jafri

kitni aashaon ki lashen sukhen dil ke aangan mein

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
kitnī āshāoñ kī lāsheñ sūkheñ dil ke āñgan meñ
kitne sūraj Duub ga.e haiñ chehroñ ke pīle-pan meñ
bachchoñ ke mīThe hoñToñ par pyaas kī sūkhī ret jamī
duudh kī dhāreñ gaa.e ke than se gir ga.iiñ nāgoñ ke phan meñ
registānoñ meñ jalte haiñ paḌe hue sau naqsh-e-qadam par
aaj ḳhirāmāñ koī nahīñ hai ummīdoñ ke gulshan meñ
chaknā-chūr huā ḳhvāboñ kā dilkash dilchasp ā.īna
TeḌhī tirchhī tasvīreñ haiñ TūTe-phūTe darpan meñ
pā-e-junūñ meñ paḌī huī haiñ hirs-o-havā kī zanjīreñ
qaid hai ab tak haath sahar kā tārīkī ke kañgan meñ
āñkhoñ kī kuchh nauras kaliyāñ nīm-shagufta ġhuncha-e-lab
kaise kaise phuul bhare haiñ gulchīnoñ ke dāman meñ
dast-e-ġhaib kī tarah chhupā hai zulm kā haath sitam kā vaar
ḳhushk lahū kī bārish dekhī ham ne kūcha-e-barzan meñ
Top Urdushayar.com