ham jo mahfil meñ tirī sīna-figār aate haiñ
rañg-bar-dosh gulistāñ-ba-kanār aate haiñ
chāk-dil chāk-jigar chāk-garebāñ vaale
misl-e-gul aate haiñ mānind-e-bahār aate haiñ
koī ma.ashūq sazāvār-e-ġhazal hai shāyad
ham ġhazal le ke sū-e-shahr-e-nigār aate haiñ
kyā vahāñ koī dil-o-jāñ kā talabgār nahīñ
jā ke ham kūcha-e-qātil meñ pukār aate haiñ
qāfile shauq ke rukte nahīñ dīvāroñ se
saiñkaḌoñ mahbas-o-zindāñ ke dayār aate haiñ
manzileñ dauḌ ke rahrav ke qadam letī haiñ
bosa-e-pā ke liye rāhguzār aate haiñ
ḳhud kabhī mauj-o-talātum se na nikle bāhar
paar jo saare zamāne ko utaar aate haiñ
kam ho kyuuñ abrū-e-qātil kī kamānoñ kā khiñchāo
jab sar-e-tīr-e-sitam aap shikār aate haiñ