Ali Sardar Jafri

watan se dur yaran-e-watan ki yaad aati hai

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
vatan se duur yārān-e-vatan kī yaad aatī hai
qafas meñ ham-navāyān-e-chaman kī yaad aatī hai
ye kaisā zulm hai phir sāya-e-dīvār-e-zindāñ meñ
vatan ke sāya-e-sarv-o-saman kī yaad aatī hai
tasavvur jis se rañgīñ hai taḳhayyul jis se raqsāñ hai
ġhazāl-e-hind-o-āhū-e-ḳhutan kī yaad aatī hai
kabhī lailā-o-shīrīñ gaah hīr-o-shohnī ban kar
nirāle yaar kī bāñke sajan kī yaad aatī hai
kahāñ kā ḳhauf-e-zindāñ dahshat-e-dār-o-rasan kaisī
qad-e-māshūq-o-zulf-e-pur-shikan kī yaad aatī hai
Top Urdushayar.com