faroġh-e-dīda-o-dil lāla-e-sahar kī tarah
ujālā ban ke raho sham-e-rahguzar kī tarah
payambaroñ kī tarah se jiyo zamāne meñ
payām-e-shauq bano daulat-e-hunar kī tarah
ye zindagī bhī koī zindagī hai ham-nafaso
sitāra ban ke jale bujh ga.e sharar kī tarah
Darā sakī na mujhe tīrgī zamāne kī
añdherī raat se guzrā huuñ maiñ qamar kī tarah
samundaroñ ke talātum ne mujh ko paalā hai
chamak rahā huuñ isī vāste guhar kī tarah
tamām koh-o-til-o-bahr-o-bar haiñ zer-e-nagīñ
khulā huā huuñ maiñ shāhīñ ke bāl-o-par kī tarah