sard haiñ dil ātish-e-rū-e-nigārāñ chāhiye
sho.ala-rañg-e-bahār-e-gul-ezārāñ chāhiye
manzil-e-ishq-o-junūñ ke fāsle haiñ sar-ba-kaf
in kaThin rāhoñ meñ lutf-e-dast-e-yārāñ chāhiye
kaT rahī hai aur kaT chuktī nahīñ fasl-e-ḳhizāñ
tez-tar ik aur teġh-e-nau-bahārāñ chāhiye
aaj mai-ḳhāne meñ sehr-e-chashm-e-sāqī ke liye
iltifāt-e-chashm mast-e-mai-gusārāñ chāhiye
is dil-e-vahshī kī āzādī kā kyā kiije ilaaj
ik kamand-e-gesū-e-yazdāñ-shikārāñ chāhiye
naġhma ban jaatā hai naala un kī bazm-e-nāz meñ
un ko ḳhush rakhne ko shor-e-sogvārāñ chāhiye
āsmānoñ se baraste haiñ zamīñ par regzār
aaj phir 'sardār' raqs-e-barq-o-bārāñ chāhiye