Ali Sardar Jafri

shabon ki zulf ki ru-e-sahar ki KHair manao

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
shaboñ kī zulf kī rū-e-sahar kī ḳhair manāo
nigār-e-shams urūs-e-qamar kī ḳhair manāo
sipāh-e-dushman-e-insāniyat qarīb aa.ī
dayār-e-husn sar-e-rahguzar kī ḳhair manāo
abhī to auroñ ke dīvār-o-dar pe yūrish thī
ab apne sāya-e-dīvār-o-dar kī ḳhair manāo
chalī hai ātish-o-āhan ke dil se bād-e-sumūm
chaman ke jalva-e-gul-hā-e-tar kī ḳhair manāo
guzar na jaa.e kahīñ bahr-o-bar se ḳhuun kī dhaar
faroġh-e-shabnam-o-āb-o-guhar kī ḳhair manāo
ye naf.a-ḳhoroñ kī dānish-farosh duniyā hai
matā-e-ilm kī jins-e-hunar kī ḳhair manāo
mire liye hai mirī muflisī-o-nāpākī
tum apnī pākī-e-qalb-o-nazar kī ḳhair manāo
Top Urdushayar.com