Ali Sardar Jafri

khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzar

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
khule haiñ mashriq-o-maġhrib kī god meñ gulzār
magar ḳhizāñ ko mayassar nahīñ yaqīn-e-bahār
ḳhabar nahīñ hai bamoñ ke banāne vāloñ ko
tamīz ho to mah-o-mehr-o-kahkashāñ haiñ shikār
usī se teġh-e-nigah āb-dār hotī hai
tujhe batā.ūñ baḌī shai hai jur.at-e-inkār
kiye haiñ shauq ne paidā hazār vīrāne
ik aarzū ne basā.e haiñ laakh shahr-e-dayār
nashāt-e-sub.h-e-bahārāñ tujhe nasīb nahīñ
tire nigah meñ hai biitī huī shaboñ kā ḳhumār
faroḳht hotī hai insāniyat sī jins-e-girāñ
jahāñ ko phūñk na degī ye garmī-e-bāzār
yahī hai zīnat-o-ārā.ish urūs-e-suḳhan
magar fareb bhī detī hai shoḳhī-e-guftār
Top Urdushayar.com