Ali Sardar Jafri

mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
mausam-e-rañg bhī hai fasl-e-ḳhizāñ bhī taarī
dekhnā ḳhuun ke dhabbe haiñ ki hai gul-kārī
us se har tarah se tazlīl-e-bashar hotī hai
bā.is-e-faḳhr nahīñ muflisī-o-nā-dārī
inqilābī ho to hai faqr bhī tauqīr-e-hayāt
varna hai ājizī-o-be-kasī-o-ayyārī
sho.ala-e-gul kī baḌhā detī hai lau-e-bād-e-bahār
tah-e-shabnam bhī dahak uThtī hai ik chiñgārī
lamha lamha hai ki hai qāfila-e-manzil-e-nūr
sarhad-e-shab meñ bhī farmān-e-sahar hai jaarī
teġh-o-ḳhanjar ko atā karte haiñ lafzoñ kī niyām
zulm kī karte haiñ jab ahl-e-sitam tayyārī
harf-e-'sardār' meñ poshīda haiñ asrār-e-hayāt
sher-e-'sardār' meñ hai sarkashī-o-sar-shārī
sher-e-'sardār' meñ hai sho.ala-e-be-bāk kā rañg
harf-e-'sardār' meñ haq-goī-o-ḳhush-guftārī
Top Urdushayar.com