abhī aur tez kar le sar-e-ḳhanjar-e-adā ko
mire ḳhuuñ kī hai zarūrat tirī shoḳhi-e-hinā ko
tujhe kis nazar se dekhe ye nigāh-e-dard-āgīñ
jo duā.eñ de rahī hai tirī chashm-e-bevafā ko
kahīñ rah ga.ī ho shāyad tire dil kī dhaḌkanoñ meñ
kabhī sun sake to sun le mirī ḳhūñ-shuda navā ko
koī boltā nahīñ hai maiñ pukārtā rahā huuñ
kabhī but-kade meñ but ko kabhī ka.abe meñ ḳhudā ko