masti-e-rindāna ham sairābi-e-mai-ḳhāna ham
gardish-e-taqdīr se haiñ gardish-e-paimāna ham
ḳhūn-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se tā-ba-ḳhāk
kar ga.e āḳhir gul-o-gulzār har vīrāna ham
kyā balā jabr-e-asīrī hai ki āzādī meñ bhī
dosh par apne liye phirte haiñ zindāñ-ḳhana ham
raah meñ faujoñ ke pahre sar pe talvāroñ kī chhāñv
aa.e haiñ zindāñ meñ bhī bā-shaukat-e-shāhāna ham
miTte miTte de ga.e ham zindagī ko rañg-o-nūr
rafta rafta ban ga.e is ahd kā afsāna ham
yā jagā dete haiñ zarroñ ke diloñ meñ mai-kade
yā banā lete haiñ mehr-o-māh ko paimāna ham
qaid ho kar aur bhī zindāñ meñ uḌtā hai ḳhayāl
raqs zanjīroñ meñ bhī karte haiñ āzādāna ham