Ali Sardar Jafri

tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
tumhāre e.ajāz-e-husn kī mere dil pe lākhoñ ināyateñ haiñ
tumhārī hī den mere zauq-e-nazar kī saarī latāfateñ haiñ
javāñ hai sūraj jabīñ pe jis ke tumhāre māthe kī raushnī hai
sahar hasīñ hai ki us ke ruḳh par tumhāre ruḳh kī sabāhateñ haiñ
maiñ jin bahāroñ kī parvarish kar rahā huuñ zindān-e-ġham meñ hamdam
kisī ke gesū-o-chashm-o-ruḳhsār-o-lab kī rañgīñ hikāyateñ haiñ
na jaane chhalkā.e jaam kitne na jaane kitne subū uchhāle
magar mirī tishnagī ki ab bhī tirī nazar se shikāyateñ haiñ
maiñ apnī āñkhoñ meñ sail-e-ashk-e-ravāñ nahīñ bijliyāñ liye huuñ
jo sar-buland aur ġhayūr haiñ ahl-e-ġham ye un kī rivāyateñ haiñ
maiñ raat kī god meñ sitāre nahīñ sharāre bikhertā huuñ
sahar ke dil meñ jo apne ashkoñ se bo rahā huuñ baġhāvateñ haiñ
ye shā.irī-e-nau kī paiġhambarī zamāne kī dāvarī hai
laboñ pe mere sahīfa-e-inqilāb kī surḳh āyateñ haiñ
Top Urdushayar.com