lū ke mausam meñ bahāroñ kī havā māñgte haiñ
ham kaf-e-dast-e-ḳhizāñ par bhī hinā māñgte haiñ
ham-nashīñ sāda-dilī-hā-e-tamannā mat pūchh
be-vafāoñ se vafāoñ kā sila māñgte haiñ
kaash kar lete kabhī ka.aba-e-dil kā bhī tavāf
vo jo patthar ke makānoñ se ḳhudā māñgte haiñ
jis meñ ho satvat-e-shāhīn kī parvāz kā rañg
lab-e-shā.ir se vo bulbul kī navā māñgte haiñ
taaki duniyā pe khule un kā fareb-e-insāf
be-ḳhatā ho ke ḳhatāoñ kī sazā māñgte haiñ
tīrgī jitnī baḌhe husn ho afzūñ terā
kahkashāñ maañg meñ māthe pe ziyā māñgte haiñ
ye hai vāraftagī-e-shauq kā aalam 'sardār'
bārish-e-sañg hai aur bād-e-sabā māñgte haiñ