maiñ jahāñ tum ko bulātā huuñ vahāñ tak aao
merī nazroñ se guzar kar dil-o-jāñ tak aao
phir ye dekho ki zamāne kī havā hai kaisī
saath mere mire firdaus-e-javāñ tak aao
hausla ho to uḌo mere tasavvur kī tarah
merī taḳh.īl ke gulzār-e-jināñ tak aao
teġh kī tarah chalo chhoḌ ke āġhosh-e-niyām
tiir kī tarah se āġhosh-e-kamāñ tak aao
phuul ke gird phiro baaġh meñ mānind-e-nasīm
misl-e-parvāna kisī sham-e-tapāñ tak aao
lo vo sadiyoñ ke jahannam kī hadeñ ḳhatm huiiñ
ab hai firdaus hī firdaus jahāñ tak aao
chhoḌ kar vahm-o-gumāñ husn-e-yaqīñ tak pahuñcho
par yaqīñ se bhī kabhī vahm-o-gumāñ tak aao
isī duniyā meñ dikhā deñ tumheñ jannat kī bahār
shaiḳh-jī tum bhī zarā kū-e-butāñ tak aao