Ali Sardar Jafri

aandhiyan chalti rahen aflak tharraate rahe

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
āñdhiyāñ chaltī raheñ aflāk tharrāte rahe
apnā parcham ham bhī tūfānoñ meñ lahrāte rahe
kaaT kar rātoñ ke parbat asr-e-nau ke tesha-zan
jū-e-shīr-o-chashma-e-nūr-e-sahar laate rahe
kārvān-e-himmat-e-jamhūr baḌhtā hī gayā
shahr-yār-o-hukmarāñ aate rahe jaate rahe
rahbaroñ kī bhuul thī yā rahbarī kā mudda.ā
qāfiloñ ko manziloñ ke paas bhaTkāte rahe
jis qadar baḌhtā gayā zālim havāoñ kā ḳharosh
us ke kākul aur bhī aariz pe lahrāte rahe
phāñsiyāñ ugtī rahīñ zindāñ ubharte hī rahe
chand dīvāne junūñ ke zamzame gaate rahe
Top Urdushayar.com