Ali Sardar Jafri

wo meri dost wo hamdard wo gham-KHwar aankhen

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
vo mirī dost vo hamdard vo ġham-ḳhvār āñkheñ
ek ma.asūm mohabbat kī gunahgār āñkheñ
shoḳh-o-shādāb-o-hasīñ sāda-o-purkār āñkheñ
mast-o-sarshār-o-javāñ be-ḳhud-o-hoshiyār āñkheñ
tirchhī nazroñ meñ vo uljhī huī sūraj kī kiran
apne duzdīda ishāroñ meñ giraftār āñkheñ
jumbish-e-abrū-o-mizhgāñ kai ḳhunuk saa.e meñ
ātish-afroz junūñ-ḳhez sharar-bār āñkheñ
kaifiyat dil kī sunātī huī ek ek nigāh
be-zabāñ ho ke bhī vo mā.il-e-guftār āñkheñ
mausam-e-gul meñ vo uḌte hue bhauñroñ kī tarah
ġhuncha-e-dil pe vo kartī huī yalġhār āñkheñ
kabhī chhalkī huī sharbat ke kaToroñ kī tarah
aur kabhī zahr meñ Duubī huī talvār āñkheñ
kabhī Thahrī huī yaḳh-basta ġhamoñ kī jhīleñ
kabhī sahmā huā simTā huā ik pyaar āñkheñ
kabhī jhukte hue bādal kabhī girtī bijlī
kabhī uThtī huī āmāda-e-paikār āñkheñ
nok-e-abrū meñ kabhī talḳhī-e-inkār liye
kabhī ghole hue shīrīnī-e-iqrār āñkheñ
aañch meñ apnī javānī kī sulagtī chitvan
shabnam-e-ashk meñ dhoī huī gulnār āñkheñ
husn ke chāñd se mukhḌe pe chamakte taare
haa.e āñkheñ vo harīf-e-lab-o-ruḳhsār āñkheñ
ishva-o-ġhamza-o-andāz-o-adā par nāzāñ
apne pindār-e-javānī kī parastār āñkheñ
ruuh ko rog mohabbat kā lagā detī haiñ
sehat-e-dil jo atā kartī haiñ bīmār āñkheñ
sehn-e-zindāñ meñ hai phir raat ke tāroñ kā hujūm
sham.a kī tarah farozāñ sar-e-dīvār āñkheñ
Top Urdushayar.com