Ali Sardar Jafri

shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
shaikast-e-shauq ko takmīl-e-ārzū kahiye
jo tishnagī ho to paimāna-o-subū kahiye
ḳhayāl-e-yār ko dījiye visāl-e-yār kā naam
shab-e-firāq ko gaisu-e-mushk-bū kahiye
charāġh-e-anjuman-e-hairat-e-nazāra the
vo lāla-rū jinheñ ab dāġh-e-ārzū kahiye
mahak rahī hai ġhazal zikr-e-zulf-e-ḳhūbāñ se
nasīm-e-sub.h kī mānind kū-ba-kū kahiye
shikāyateñ bhī bahut haiñ hikāyateñ bhī bahut
mazā to jab hai ki yāroñ ke rū-ba-rū kahiye
ba-hukm kījiye phir ḳhanjaroñ kī dildārī
dahān-e-zaḳhm se afsāna-e-gulū kahiye
Top Urdushayar.com