Ali Sardar Jafri

naghma-e-zanjir hai aur shahr-e-yaran in dinon

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
naġhma-e-zanjīr hai aur shahr-e-yārāñ in dinoñ
hai bahut ahl-e-junūñ shor-e-bahārāñ in dinoñ
us vafā-dushman se paimān-e-vafā hai ustuvār
zer-e-sañg-e-saḳht hai phir dast-e-yārāñ in dinoñ
mohtasib bhī halqa-e-rindāñ kā hai ummīd-vār
kam na ho jaa.e vaqār-e-mai-gusārāñ in dinoñ
tezī-e-teġh-e-adā kī shohrateñ haiñ duur duur
hai bahut ābād kū-e-dil-figārāñ in dinoñ
dosto pairāhan-e-jāñ ḳhūn-e-dil se surḳh-tar
baḌh gayā hai iltifāt-e-gul-ezārāñ in dinoñ
ahl-e-dil par bārish-e-lutf-e-nigāh-e-dil-navāz
mehrbāñ hai ishq par chashm-e-nigārāñ in dinoñ
hai gadā-e-mai-kada ke sar pe tāj-e-khusravī
kūza-gar kī gil hai ḳhāk-e-shahr-e-yārāñ in dinoñ
kyā ajab ishrat-kadoñ par bijliyāñ girne lagīñ
hai bahut sarkash nigāh-e-sogvārāñ in dinoñ
Top Urdushayar.com