Ali Sardar Jafri

fasl-e-gul fasl-e-KHizan jo bhi ho KHush-dil rahiye

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000
fasl-e-gul fasl-e-ḳhizāñ jo bhī ho ḳhush-dil rahiye
koī mausam ho har ik rañg meñ kāmil rahiye
mauj o girdāb o talātum kā taqāzā hai kuchh aur
rahiye mohtāt to bas tā-lab-e-sāhil rahiye
dekhte rahiye ki ho jaa.e na kam shān-e-junūñ
aa.ina ban ke ḳhud apne hī muqābil rahiye
un kī nazroñ ke sivā sab kī nigāheñ uTThīñ
mahfil-e-yār meñ bhī zīnat-e-mahfil rahiye
dil pe har haal meñ hai sohbat-e-nā-jins harām
haif-sad-haif ki nā-jinsoñ meñ shāmil rahiye
daaġh siine kā dahaktā rahe jaltā rahe dil
raat baaqī hai jahāñ tak mah-e-kāmil rahiye
jāniye daulat-e-kaunain ko bhī jins-e-haqīr
aur dar-e-yār pe ik bose ke saa.il rahiye
āshiqī sheva-e-rindān-e-balā-kash hai miyāñ
vaj.h-e-shā.istagī-e-ḳhanjar-e-qātil rahiye
Top Urdushayar.com