Saqib Lakhnavi

hijr ki shab nala-e-dil wo sada dene lage

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
hijr kī shab nāla-e-dil vo sadā dene lage
sunñe vaale raat kaTne kī duā dene lage
aa.iye hāl-e-dil-e-majrūh suniye dekhiye
kyā kahā zaḳhmoñ ne kyuuñ Tāñke sadā dene lage
kis nazar se aap ne dekhā dil-e-majrūh ko
zaḳhm jo kuchh bhar chale the phir havā dene lage
sunñe vaale ro diye sun kar marīz-e-ġham kā haal
dekhne vaale taras khā kar duā dene lage
juz zamīn-e-kū-e-jānāñ kuchh nahīñ pesh-e-nigāh
jis kā darvāza nazar aayā sadā dene lage
bāġhbāñ ne aag dī jab āshiyāne ko mire
jin pe takiya thā vahī patte havā dene lage
muTThiyoñ meñ ḳhaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn
zindagī bhar kī mohabbat kā silā dene lage
aa.ina ho jaa.e merā ishq un ke husn kā
kyā maza ho dard agar ḳhud hī davā dene lage
sīna-e-sozāñ meñ 'sāqib' ghuT rahā hai vo dhuāñ
uf karūñ to aag duniyā kī havā dene lage
Top Urdushayar.com