ye aur baat ki maujūd apne ghar meñ huuñ
maiñ terī samt magar mustaqil safar meñ huuñ
na jaane aglī ghaḌī kyā se kyā meñ ban jā.ūñ
abhī to chaak pe huuñ dast-e-kūza-gar meñ huuñ
maiñ apnī fikr kī tajsīm kis tarah se karūñ
burīda-dast huuñ aur shahr-e-be-hunar meñ huuñ
na jaane kaun sā mausam mujhe harā kar de
numū ke vāste be-tāb huuñ shajar meñ huuñ
ye dostī bhī ajab chob-e-ḳhushk hai 'nāsir'
nibhā rahā huuñ magar TūTne ke Dar meñ huuñ