Nasir Ali Syed

ek anhoni ka Dar hai aur main

Nasir Ali Syed

1948
ek anhonī kā Dar hai aur maiñ
dasht kā andhā safar hai aur maiñ
hasrat-e-tāmīr puurī yuuñ huī
hasratoñ kā ik nagar hai aur maiñ
bām-o-dar ko nuur se nahlā gayā
ek uḌtī sī ḳhabar hai aur maiñ
mashġhala Thahrā hai chehre dekhnā
us ke ghar kī rahguzar hai aur maiñ
jab se āñgan meñ uThī dīvār hai
is havelī kā khañDar hai aur maiñ
vaqt ke parde pe ab to roz-o-shab
ik tamāshā-e-digar hai aur maiñ
jaane kyā anjām ho 'nāsir' mirā
ek yār-e-be-ḳhabar hai aur maiñ
Top Urdushayar.com