Hidayatullah Khan Shamsi

dil mein ek shor uThate hain chale jate hain

Hidayatullah Khan Shamsi

Siddharth Nagar, Uttar pradesh, India

1970
dil meñ ik shor uThāte haiñ chale jaate haiñ
aap jazbāt jagāte haiñ chale jaate haiñ
roz jaltā hai sar-e-shām umīdoñ kā charāġh
dāman-e-lail bujhāte haiñ chale jaate haiñ
vaqt-e-ruḳhsat to qayāmat kā samāñ hotā hai
ġham ko siine se lagāte haiñ chale jaate haiñ
ham to phirte haiñ mohabbat kā ḳhazāna le kar
raah nafrat meñ luTāte haiñ chale jaate haiñ
chand lamhoñ kī rifāqat meñ ka.ī ḳhvāb hasīñ
lāla-o-gul ko dikhāte haiñ chale jaate haiñ
ḳhushk hoñToñ ko mire jhūTā tabassum de kar
phir se āñkhoñ ko rulāte haiñ chale jaate haiñ
kaun kartā hai adā haqq-e-marāsim 'shamsī'
log bas rasm nibhāte haiñ chale jaate haiñ
Top Urdushayar.com