bahut kaThin hai Dagar thoḌī duur saath chalo
na.ī hai rāhguzar thoḌī duur saath chalo
hayāt bikhrī huī hai sameT lene do
maiñ sī luuñ chāk-e-jigar thoḌī duur saath chalo
abhī to duur hai manzil udaas raste haiñ
abhī na phero nazar thoḌī duur saath chalo
ḳhumār-e-ishq hai baaqī rag-e-shikasta meñ
nasha ye jaa.e utar thoḌī duur saath chalo
na aarzū na koī hausla na manzil hai
tumhī ho zauq-e-safar thoḌī duur saath chalo
siyāh raat musallat hai dil kī duniyā par
matā-e-nūr-e-sahar thoḌī duur saath chalo
na jaane Dor ye sāñsoñ kī TuuT jaa.e kab
kise hai us kī ḳhabar thoḌī duur saath chalo
tamām umr mirā saath de na pāoge
abhī to yaar magar thoḌī duur saath chalo