dostoñ se to kinārā bhī nahīñ kar saktā
un kā har zulm gavārā bhī nahīñ kar saktā
merā dushman mire apnoñ meñ chhupā baiThā hai
us kī jānib maiñ ishārā bhī nahīñ kar saktā
shab meñ niklegā nahīñ us pe musallat hai nizām
din meñ sūraj kā nazārā bhī nahīñ kar saktā
aish-o-ishrat kā talabgār nahīñ huuñ phir bhī
tañg-dastī meñ guzārā bhī nahīñ kar saktā
shauq aisā ki machaltā hai mohabbat ke liye
jurm aisā ki dobārā bhī nahīñ kar saktā
ġham hai betāb ki āñkhoñ se nikal jaa.e magar
dil kī daulat kā ḳhasārā bhī nahīñ kar saktā